is men kya shak hai ki avara huun main
kuche kuche men phira karta huun main
mujh se sarzad hote rahte hain gunah
aadmi huun kyuun kahun achchha huun main
saf-o-shaffaf asman ko dekh kar
gandi gandi galiyan bakta huun main
qahva-ḳhanon men basar karta huun din
qahba-ḳhanon men sahar karta huun main
din guzarta hai mira ahbab men
raat ko fōtpath par sota huun main
biiT kar jaati hai chiḌiya TaanT par
azmat-e-adam ka a.ina huun main
kanch si guḌiyon ke narm a.asab par
surat-e-sang-e-havas paḌta huun main
nazukon ke naaz uThane ke baja.e
nazukon se naaz uThvata huun main
dusron ko kya pata apna bata.un
ab to ḳhud apne liye anqa huun main
mujh se puchhe hurmat-e-ka.aba koi
masjidon men choriyan karta huun main
mujh se likhva.e koi hijv-e-sharab
mai-kadon men qarz ki piita huun main
main chhupata huun barahna ḳhvahishen
vo samajhti hai ki sharmila huun main
kis qadar bad-namiyan hain mere saath
kya bata.un kis qadar tanha huun main
ḳhvab-avar goliyon se ai ‘shu.ur’
ḳhud-kushi ki koshishen karta huun main
Leave a Reply