jab shaam hui main ne qadam ghar se nikala
Duuba hua ḳhurshid samundar se nikala
har-chand ki is rah men tahi-dast rahe ham
sauda-e-mohabbat na magar sar se nikala
jab chand numudar hua duur ufuq par
ham ne bhi pari-zad ko patthar se nikala
dahka tha chaman aur dam-e-sub.h kisi ne
ik aur hi mafhum gul-e-tar se nikala
us mard-e-shafaq-fam ne ik ism paḌha aur
shahzadi ko divar ke andar se nikala
Leave a Reply