
Poet
kaam kuchh to mira lahu aaya
baagh men mausam-e-numu aaya
hijr men tere mujh pe kya guzri
aaj tak puchhne na tu aaya
jis tarah main ne tujh ko yaad kiya
yaad yuun kab kisi ko tu aaya
tera kucha hai ya koi maqtal
jo bhi aaya lahu lahu aaya
main usi ki tarah mila us se
aa.ina ban ke ru-ba-ru aaya
ḳhatm daur-e-ḳhayal-o-ḳhvab hua
lamha-e-tark-e-arzu aaya
raste der tak rahe raushan
duur tak mere saath tu aaya
yaad aa.i kisi ki phir ‘ḳhavar’
dil se ankhon men phir lahu aaya

Leave a Reply