mira siina hai mashriq aftab-e-dagh-e-hijran ka
tulu-e-subh-e-mahshar chaak hai mere gareban ka
azal se dushmani taus o maar aapas men rakhte hain
dil-e-pur-dagh ko kyunkar hai ishq us zulf-e-pechan ka
kisi khurshid-ru ko jazb-e-dil ne aaj khincha hai
ki nur-e-subh-e-sadiq hai ghubar apne bayaban ka
chamakna barq ka lazim pada hai abr-e-baran men
tasavvur chahiye rone men us ke ru-e-khandan ka
diya mere janaze ko jo kandha us pari-ru ne
guman hai takhta-e-tabut par takht-e-sulaiman ka
kisi se dil na is vahshat-sara men main ne atkaya
na uljha khaar se daman kabhi mere bayaban ka
tah-e-shamshir-e-qatil kis qadar bashshash tha ‘nasikh’
ki aalam har dahan-e-zakhm par hai ru-e-khandan ka
Leave a Reply