junun ki fasl aa.i baḌh ga.i tauqir patthar ki
sar-e-shorida ḳhud karne laga tadbir patthar ki
ye mushkil kis tarah hal ho nahin shamshir patthar ki
dil-e-sayyad patthar gardan-e-naḳhchir patthar ki
bina a.ina chamki kis qadar taqdir patthar ki
tumhare ru-ba-ru aaya zahe tauqir patthar ki
hamare josh-e-vahshat ne ye ham ko rang dikhlaya
na kuchh taqsir laḌkon ki na kuchh taqsir patthar ki
nishan kuchh aap bhi kar den hua dafn aap ka majnun
pa.e tariḳh rehlat kijiye tadbir patthar ki
ragon men meri peshani ki josh-e-ḳhun hua paida
hikayat likh chuka jab katib-e-taqdir patthar ki
jo tu samjhe to mere tere dil ki ek surat hai
ye hai tasvir miTTi ki vo hai tasvir patthar ki
na jis men lafz-o-ma.ani hon kalam us ko nahin kahte
chaTakna pattharon ka kab hui taqrir patthar ki
tira sauda jahan par tha rasa.i ho ga.i vaan tak
paḌa sar par hamare laḌ ga.i taqdir patthar ki
lagaya sang apne haath se tu ne mire sar par
ḳhusha taqdir meri aur zahe taqdir patthar ki
qasam logo adab se aankh uTha ke main ne dekha ho
tumhare dar men lohe ki hai ya zanjir patthar ki
dil-e-saḳht ai ‘rashid’-e-zar apna hai garan ham ko
baja hai kis tarah bhari na ho tasvir patthar ki
Leave a Reply