junun hai to qafas kab tak qafas ki tiliyan kab tak
na aa.egi idhar aḳhir hava-e-gulistan kab tak
rahegi mere dam se garmi-e-bazm-e-jahan kab tak
fughan par naaz hai mujh ko magar tab-e-fughan kab tak
mira afsana-e-hasti hai afsana-dar-afsana
sunega koi meri zindagi ki dastan kab tak
badal de ḳhud nizam-e-dahr ko gar tujh men himmat hai
karega intizar-e-inqalab-e-asman kab tak
na kar majbur ai sayyad mujh ko ḳhud-farebi par
tere kahne se main samjhun qafas ko ashiyan kab tak
kisi din ḳhatm hi hongi ta.ayyun ki haden aḳhir
rahegi shauq-e-sajda par ye qaid-e-astan kab tak
Leave a Reply