junun-e-ishq men sad-chak hona padta hai
is intiha ke liye khaak hona padta hai
kisi se jab kabhi ham zindagi badalte hain
to phir badan ki bhi poshak hona padta hai
zamin pe khak-nashini ka vasf rakhte hue
kabhi kabhi hamen aflak hona padta hai
agar main duubi use saath le ke dubungi
mohabbaton men bhi saffak hona padta hai
hava ke saath mohabbat ke dhup-sahra men
gulon ko bhi khas-o-khashak hona padta hai
bisat-e-vaqt ki chalen samajh saken ‘ruhi’
kam-az-kam itna to chalak hona padta hai
Leave a Reply