junun-e-dil agar amada-e-iz.har ho jaa.e
bahar aane se pahle hi chaman bedar ho jaa.e
ḳhushi kaisi ḳhushi se vasta kya gham paraston ko
musalsal gham na ho to zindagi dushvar ho jaa.e
Thahar ai barq ye do-char tinke jam.a to kar luun
bas itni aur mohlat ashiyan tayyar ho jaa.e
ata kar haan ata kar ka.enat-e-dard ke malik
ik aisa dard jo na-qabil-e-iz.har ho jaa.e
vo aa.en ya na aa.en ab main ankhen band karta huun
yunhi shayad mukammal intizar-e-yar ho jaa.e
ye tufan ye talatum sirf meri zindagi tak hai
agar main gharq ho ja.un to beḌa paar ho jaa.e
abhi qaabu hai dil par apni barbadi pe hansta huun
phir is ke ba.ad shayad zabt-e-gham dushvar ho jaa.e
nasheman par nasheman is tarah ta.amir karta ja
ki girte girte bijli aap ḳhud bezar ho jaa.e
‘sa.id’ ab kya karunga paanv ke chhalon se tang aa kar
dua karta huun saara rasta pur-ḳhar ho jaa.e
Leave a Reply