josh-o-kharosh par hai bahar-e-chaman hanuz
piite hain nau-javan sharab-e-kuhan hanuz
paata nahin main yaar ko mel-e-sukhan hanuz
maadum hai kamar ki tarah se dahan hanuz
barson se ro raha huun shab-o-roz muttasil
hanste hain muddaton se mire zakhm-e-tan hanuz
rukhsar-e-yar par nahin aghaz-e-khat abhi
dekha nahin in ankhon ne suraj gahan hanuz
anjam-e-kar ka nahin aata khayal kuchh
ghurbat men bhule baithe hain yar-e-vatan hanuz
aalam un abruon ki kaji ka jo hai so hai
bal kha rahi hai zulf-e-shikan-dar-shikan hanuz
khilat ki kya umiid rakhen asman se ham
us ne to daab rakkha hai apna kafan hanuz
aalam hijab-e-yar ka ta-hal hai vahi
khalvat-nashin hai raushni-e-anjuman hanuz
apne safa-e-sina ka hairan kaar hai
dekha nahin hai aaine ne vo badan hanuz
har-chand bagh-e-dahr men muddat se huun muqim
‘atish’ nazar pada na vo seb-e-zaqan hanuz
Leave a Reply