jo uThi thi meri taraf kabhi dil-e-mo’tabar ki talash men
meri saari umr guzar ga.i usi ik nazar ki talash men
gham-e-ishq hi ko main kya kahun tire husn ko bhi nahin sukun
kabhi is nazar ki talash men kabhi us nazar ki talash men
jo yahi junun hai to mil chuki hamen manzil-e-gham-e-ashiqi
usi rahguzar se guzar ga.e usi rahguzar ki talash men
sar-e-manzil aa ke pata chala ki qadam qadam pe fareb tha
kahin ham-safar ki umiid men kahin ham-safar ki talash men
use vasl kaisa haqiqatan gham-e-hijr ka bhi to haq nahin
jo tamam raat guzar de magar ik sahar ki talash men
hai ajiib qismat-e-‘kaif’ bhi ye mila hai hasil-e-bandagi
ki mazaq-e-sajda bhi kho diya kisi sang-e-dar ki talash men
Leave a Reply