jo tumhen yaad kiya karte hain
ah-o-fariyad kiya karte hain
kaam un ka hai shab-o-roz yahi
sitam ijad kiya karte hain
tere mai-khane ko ai pir-e-mughan
hamin abad kiya karte hain
apni vahshat se tire divane
dasht abad kiya karte hain
jam-e-mai pi ke shab-e-furqat men
dil ko ham shaad kiya karte hain
masale shaikh ke jo sunte hain
umr barbad kiya karte hain
‘mashriqi’ koi sune ya na sune
ham to fariyad kiya karte hain
Leave a Reply