jo tere munh se na ho sharmsar aina
to rukh kare su-e-aina vaar aina
kahe hai dekh ke rukhsar-e-yar aina
ki is safai pe sadqe nisar aina
siyah-ru na kare tark-e-ulfat-e-gulfam
main bul-havas ko dikhaun hazar aina
safai dil ki kahan qadr-e-tira-rozi men
charagh-e-subh hai shab-ha-e-tar aina
samajh liya magar is sabz rang ko tuuti
ki hai nazare ka ummid-var aina
vo sakht-jan huun ki dikhlaen gar dam-e-murdan
to tod de kamar-e-kohsar aina
muqabil us rukh-e-raushan ke khul gai qali
na thahra aag pe simab-var aina
sama rahe hain magar tere nau-ba-nau jalve
ki ban gaya hai tilism-e-bahar aina
shikast-e-rang pe masti men hanste hain ham bhi
dikhaenge unhen vaqt-e-khumar aina
mujhe to kahte ho mat dekh meri janib tu
aur aap dekhte ho baar baar aina
bala hai man-e-vafa nuur ud gaya naseh
tu le ke dekh to rang-e-azar aina
samajh tu ‘momin’ agar narava ho khud-bini
to dekhen kaahe ko parhez-gar aina
Leave a Reply