jo tire dar pe meri jaan aaya
mar gaya kahta main kahan aaya
dekhen ab kis ka parda uTThega
harf-e-shikva sar-e-zaban aaya
mat uTha is ko sau jihat se haa.e
dar pe tere ye na-tavan aaya
tere hathon se be-qarari-e-dil
ji hamara bhi ab ba-jan aaya
tu to ik hi taraf se yaan se gaya
gham hazaron taraf se yaan aaya
mar hi jaana bhala hai mir-‘raza’
yaar ab bahr-e-imtihan aaya
Leave a Reply