ik shor sameTo jivan bhar aur chup dariya men utar jaao
duniya ne tum ko tanha kiya tum is ko tanha kar jaao
is hijr o visal ke biich kahin ik lamhe ko ji chahta hai
bas abr-o-hava ke saath phiro aur jism o jaan se guzar jaao
tum reza reza ho kar bhi jo ḳhud ko sameTe phirte ho
so ab ke hava pazhmurda hai is baar zara sa bikhar jaao
jangal ka ghanera andhiyara ab aan basa hai shahron men
in shahron ko yunhi rahna hai ab zinda raho ya mar jaao
ik tarik hava ka jhonka ruk ke ye mujh se kahta hai
ye raushan galiyan jhuTi hain tum ‘sabir’ apne ghar jaao
Leave a Reply