jo samna bhi kabhi yar-e-khub-ru se hua
zamane bhar ka yurish mujh pe chaar su se hua
kaha isharon se main ne ki tum pe marta huun
jo nutq band mira un ki guftugu se hua
kisi ko bhi na havas thi halal hone ki
rivaj-e-shauq-e-shahadat mire gulu se hua
jidhar nigah ki jalva tira nazar aaya
kamal-e-kashf mujhe teri aarzu se hua
khula na haal kisi par ki kya mizaj men hai
khudai men koi vaqif na us ki khu se hua
ajab ghadi se gareban phata tha majnun ka
tamam umr na vaqif kabhi rafu se hua
bade-badon ko lagaya na munh kabhi main ne
vo zarf huun ki na vaqif kabhi subu se hua
vo khud bhi kar gae tar ansuon se turbat ko
gali men yaar ki madfun is aabru se hua
bahar-e-bagh ko aae jo dekhne be-yar
dimagh aur pareshan gulon ki bu se hua
chadhae gor-e-ghariban pe gul jo us gul ne
chaman bahisht ka paida maqam-e-hu se hua
halal hone ko sayyad se mohabbat ki
qaza jo aai to manus main adu se hua
khudai karne laga yaar be-niyazi se
bada ghurur use meri aarzu se hua
jahan se mahfil-e-mearaj men hui talabi
bashar ka martaba ye us ki justuju se hua
lagate hain jo sab ankhon se ab-e-zamzam ko
‘sharaf’ ye faiz ka chashma miri vazu se hua
Leave a Reply