jo musht-e-khak ho us khak-dan ki baat karo
zamin pe rah ke na tum asman ki baat karo
kasi ki tabish-e-rukhsar ka kaho qissa
kisi ke gesu-e-ambar-fishan ki baat karo
nahin hua jo tulua aftab to filhal
qamar ka zikr karo kahkashan ki baat karo
rahega mashghala-e-yad-e-raftagan kab tak
guzar raha hai jo us karvan ki baat karo
yahi jahan hai hangama-zar-e-sud-o-ziyan
yahin ke suud yahin ke ziyan ki baat karo
ab is chaman men na sayyad hai na hai gulchin
karo to ab sitam-e-baghban ki baat karo
Leave a Reply