jo kaha tha tumhen suna bhi tha
azmana nahin kaha bhi tha
mera milna nahin hua lekin
main to apni taraf gaya bhi tha
ishq hota hai manta huun main
mujh ko ik baar ye hua bhi tha
ye saza jo bhugat rahe ho tum
kya haqiqat men kuchh kiya bhi tha
mere marne ka kya hua matlab
us ka matlab ki main jiya bhi tha
tum to zinda ho ab talak pyare
zahr ko Thiik se piya bhi tha
Leave a Reply