ka.i chehron men dekha ja raha huun
zamane ki nazar ka vahima huun
ye duniya kya ḳhabar ab ke bachegi
main apna marsiya ḳhud likh raha huun
tajassus ab nazar ka aur kya hai
jidhar sab dekhte hain dekhta huun
haqiqat aa.ina janega lekin
tiri ḳhatir sanvarna chahta huun
kabhi banta hai koi lafz paikar
yuun likhne ko musalsal likh raha huun
abhi huun phuul par shabnam ka qatra
abhi lab par koi harf-e-dua huun
khula har ek dar ‘faruq’ mujh par
sahar ke vaqt chiḌiyon ki nava huun
Leave a Reply