jo ho saka nahin darpesh use banata hua
main ḳhud bhi biit gaya raste banata hua
sanvar raha tha koi a.ina-nashin jab main
figar-dast hua aa.ine banata hua
bana raha huun tujhe main ki ho miri takmil
sanvarta jaata huun main ḳhud tujhe banata hua
vo ek shakl jo hai us ka markazi kirdar
ujaḌ gaya hai ye manzar use banata hua
Leave a Reply