jo hai vo kyuun hai aur jo nahin hai vo kyuun nahin
ye jaan luun abhi mujhe aisa junun nahin
main kya huun aur kyuun huun mujhe is se kya gharaz
is se bhi kya gharaz mujhe huun bhi ki huun nahin
main chahta huun maut jo aae miri taraf
main maut ko gale se laga luun marun nahin
jiine ki aarzu mujhe le aai hai yahan
main varna ek pal bhi yahan par rahun nahin
jis par hai kaenat ka har raaz ashkar
vo kah raha hai haan to main kaise kahun nahin
‘momin-miyan’ ye kaam nahin hai ye ishq hai
kya soch men pade ho karun ya karun nahin
Leave a Reply