jo hai arsh par vahi farsh par koi ḳhaas us ka makan nahin
vo yahan bhi hai vo vahan bhi hai vo kahin nahin vo kahan nahin
ye nasib tere shahid ka ki kamal-e-shauq tha diid ka
jo gila bhi hai to vo tar nahin jo chhuri bhi har to ravan nahin
main vo sarv-e-bagh-e-vajud huun main vo gul huun sham-e-hayat ka
jise fasl-e-gul ki ḳhushi nahin jise ranj-e-bad-e-ḳhizan nahin
jo uThe to siina ubhar kar jo chale to Thokaren maar kar
na.e aap hi to javan hain koi kya jahan men javan nahin
kidhar uḌ gaya mira qafila ki zamin phaT ke sama gaya
na ghubar uTha na jaras baja kahin naqsh-e-pa ka nishan nahin
ye mai-e-farng ki kashtiyan bhi safina-ha-e-najat hain
kabhi us ka beḌa na paar ho jo murid-e-pir-e-mughan nahin
uTho ‘qadr’ un pe na jaan do aji jaan hai to jahan hai
koi kaam aisa bhi karta hai are miyan nahin are miyan nahin
Leave a Reply