• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Guzri Mujh Pe Mat Us Se Kaho Hua So Hua

Jo Guzri Mujh Pe Mat Us Se Kaho Hua So Hua

sauda-mohammad-rafi

jo guzri mujh pe mat us se kaho hua so hua

bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua

mabada ho koi zalim tira gareban-gir

mire lahu ko tu daman se dho hua so hua

pahunch chuka hai sar-e-zakhm dil talak yaaro

koi subu koi marham rakho hua so hua

kahe hai sun ke miri sarguzisht vo be-rahm

ye kaun zikr hai jaane bhi do hua so hua

khuda ke vaste aa darguzar gunah se mire

na hoga phir kabhu ai tund-khu hua so hua

ye kaun haal hai ahval-e-dil pe ai ankho

na phuut phuut ke itna baho hua so hua

na kuchh zarar hua shamshir ka na hathon ka

mire hi sar pe ai jallad jo hua so hua

diya use dil o diin ab ye jaan hai ‘sauda’

phir aage dekhiye jo ho so ho hua so hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tarikiyon Mein Hum Jo Giraftar Ho Gae

poet

KHam Hai Meri Mohabbat Warna Ye Aalam Na Ho

nazeer-akbarabadi

Hai Chah Ne Uski Jab Se Ki Ja dil Mein

obaidullah-aleem

Pa-Ba-Zanjir Sahi Zamzama-Khwan Hain Hum Log

Jab Manzilon Wahm Tha Na Shab Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet