jo dard-e-jigar men kami ho to janun
qayamat agar multavi ho to janun
muqaddar na mera bigaḌ kar banega
kisi ki bhi bigḌi bani ho to janun
mujhe teri furqat men jo be-kali hai
tujhe bhi vahi be-kali ho to janun
shab-e-gham men kal main ne taare gine hain
zara aankh meri lagi ho to janun
raqibon ki har baat karte ho puuri
mire saath men munsifi ho to janun
pas-e-marg ‘nadir’ vo aa.e bhi to kya
inayat agar jiite ji ho to janun
Leave a Reply