Jo Bhi Sukhe Gul Kitabon Mein Mile Achchhe Lage

jo bhī sūkhe gul kitāboñ meñ mile achchhe lage

hoñ vo lamhe yā bashar chhūTe hue achchhe lage

barg-o-gul pe to hameñ shabnam baḌī achchhī lagī

ashk lekin kab tire ruḳhsār pe achchhe lage

dilkashī thī unsiyat thī yā mohabbat yā junūn

sab marāhil tujh se jo mansūb the achchhe lage

kāġhzī kashtī kā rishta ḳhuub hai ‘ālok’ se

jhūThe jitne bhī the va.ade aap ke achchhe lage

Leave a Comment