jiita huun jo mar mar ke ye jiina to nahin hai
duniya mire ehsas ki duniya to nahin hai
kahne ko to hai dida-e-nargis men bhi jaadu
har aankh men tasvir-e-tamanna to nahin hai
ye husn ke jalve ye fazaon ka tarannum
ye sham-e-chaman sham-e-kalisa to nahin hai
aaya hai dil-e-zar ko paigham-e-masarrat
ye bhi gham-e-farda ka taqaza to nahin hai
yuun ruuTh ke jaane pe main ḳhamosh huun lekin
ye baat mire dil ko gavara to nahin hai
har haal men lazim hai mujhe pas-e-mohabbat
ye sach hai magar dil ka bharosa to nahin hai
bigḌe the vo jis baat pe mujh se sar-e-mahfil
ai ‘naqsh’ dil us baat ko bhula to nahin hai
Leave a Reply