hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyuun
allah ik fareb men kaun-o-makan hain kyuun
sunte hain ek dard to uThta hai bar-bar
us ki ḳhabar nahin hai ki aansu ravan hain kyuun
in be-niyaziyon men bhi shan-e-niyaz hai
sajde nahin pasand to phir astan hain kyuun
jis gulistan men roz taḌapti hain bijliyan
yarab usi chaman men ye phir ashiyan hain kyuun
is ka hamen malal hai ham kyuun badal ga.e
is ka nahin malal ki vo bad-guman hain kyuun
jab dil nahin raha to tamanna ka kaam kya
jab karvan nahin to pas-e-karvan hain kyuun
‘bahzad’ un ke hijr men ghabra raha hai dil
ab kya kahen kisi se ki bas ḳhanuman hain kyuun
Leave a Reply