aḳhiri hichki lega kaun
meri jang laḌega kaun
mera lahja dhima hai
meri baat sunega kaun
surḳh kabutar zard munDer
ye tariḳh likhega kaun
shayad ham par vaqt aa.e
pahla vaar karega kaun
itni ḳhamoshi ke ba.ad
dil ki baat kahega kaun
main ne daman jhaaḌ diya
itna dard sahega kaun
anhoni ki honi dekh
dusri baar milega kaun
Leave a Reply