• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jit baKHshe Jo Charaghon Ko Hawa Zindabaad

Jit baKHshe Jo Charaghon Ko Hawa Zindabaad

jiit baḳhshe jo charaghon ko hava zindabad

us pe qurban charaghon ki ziya zindabad

main ne dushman ko maharat pe koi daad na di

mere andar se koi bol paḌa zindabad

us mohabbat ke payambar se taqabul kaisa

dasht sau baar jise kahta raha zindabad

ghar ka malik to mire zabt pe ta.ana-zan tha

ghar ki divar ne par mujh se kaha zindabad

jo tire jism ke auraq paḌha karti hai

rashk-e-ḳhushbu hai vo be-misl qaba zindabad

bazm-e-yaran men mire fan pe hai ungli uTThi

phir miri fikr pe bohtan laga zindabad

mar gaya bhuuk se par bhiik ka luqma na liya

marne vaale tire kirdar-o-ana zindabad

faisla mera shu.uri to nahin ho sakta

jis ko thi maat hui us ko likha zindabad

kar le manzur sana-ḳhvani-e-‘kazim’ ko husain

tu bhi zinda hai tiri karb-o-bala zindabad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Apni Aankhen Jo Band Kar dekhun

Mere Josh-E-Gham Ki Hai Ajab Kahani

Dil Hai Ki Hamein Phir Se Udhar Le Ke Chala Hai

Dekh Kar Wahshat Nigahon Ki Zaban Bechain Hai

ajmal-siraj

Kisi Ke Hijr Mein Jina Muhaal Ho Gaya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet