jism ka bojh kam kiya jaa.e
sar hamara qalam kiya jaa.e
chashm-e-ḳhunab dekhna hai agar
ḳhuun paani men zam kiya jaa.e
sirf itna sa mashvara hai mira
har kahin sar na ḳham kiya jaa.e
ansuon se likhen fasana-e-gham
thoḌa kaghaz bhi nam kiya jaa.e
aa ga.e hain vo ḳhvab-gah men ab
in charaghon ko kam kiya jaa.e
ab bhi kuchh e’tiraz hai mujh ko
gham dobara raqam kiya jaa.e
ek shaitan ne kaha ‘shakir’
ab mujhe mohtaram kiya jaa.e
Leave a Reply