ab khaak to kiya hai dil ko jala jala kar
karte ho itni baten kyuun tum bana bana kar
ashiq ke ghar ki tum ne buniyad ko bithaya
ghairon ko paas apne har dam bitha bitha kar
ye bhi koi sitam hai ye bhi koi karam hai
ghairon pe lutf karna ham ko dikha dikha kar
ai but na mujh ko hargiz kuche se ab uthana
aaya huun yaan talak main zalim khuda khuda kar
deta huun main idhar ji apna tadap tadap kar
dekhe hai vo udhar ko ankhen chura chura kar
koi ashna nahin hai aisa ki ba-vafa ho
kahte ho tum ye baten ham ko suna suna kar
jalta tha siina mera ai shama tis pe tu ne
duuni lagai atish aansu baha baha kar
ik hi nigah kar kar siine se le gaya vo
har-chand dil ko rakkha ham ne chhupa chhupa kar
jurat ne akhir apne ji ko bhi ab ganvaya
in be-muravvaton se dil ko laga laga kar
Leave a Reply