• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jis Se Bezar Rahe the Wahi Dar Kya Kuchh Hai

Jis Se Bezar Rahe the Wahi Dar Kya Kuchh Hai

jis se bezar rahe the vahi dar kya kuchh hai

ghar ki duuri ne ye samjhaya ki ghar kya kuchh hai

shukr karta huun ḳhuda ne mujhe mahsud kiya

ab main samjha ki mire paas hunar kya kuchh hai

rat-bhar jaag ke kaaTe to koi meri tarah

ḳhud-ba-ḳhud samjhega vo pichhla pahar kya kuchh hai

koi jhonka nahin sanka chaman-e-rafta se

koi sun-gun nahin yaron ki ḳhabar kya kuchh hai

nigaran su-e-zamin dida-e-aflak hai aaj

jada-e-vaqt pe miTTi ka safar kya kuchh hai

jaise qismat ki lakiron pe hamen chalna hai

kaun samjhega teri rahguzar kya kuchh hai

varaq-e-gul pe hai tahrir si donon janib

ham ne kya dekha udhar jaane udhar kya kuchh hai

chal paḌe sub.h-e-azal ‘shaz’ ishare pe tire

ham ne socha hi nahin raḳht-e-safar kya kuchh hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sauda-mohammad-rafi

Ek Humse Tujhe Nahin Ikhlas

tanveer-anjum

Hum donon Mein Se Ek

Samajh Saka Na Koi Aaj Tak Ki Kya Hun Main

poet

Qayam-O-Naql Ajaib Ke Tarjuman to Nahin

Aansu Apni Chashm-E-Tar Se Niklen To

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet