
Shahzad Ahmad
main akela huun yahan mere siva koi nahin
chal raha huun aur mera naqsh-e-pa koi nahin
zehn ke tarik goshon se uThi thi ik sada
main ne puchha kaun hai us ne kaha koi nahin
dekh kar har ek shai ka faisla karte hain log
aankh ki putli men kya hai dekhta koi nahin
kis ko pahchanun ki har pahchan mushkil ho ga.i
ḳhud-numa sab log hain aur runuma koi nahin
naqsh-e-hairat ban ga.i duniya sitaron ki tarah
sab ki sab ankhen khuli hain jagta koi nahin
ghar men ye manus si ḳhushbu kahan se aa ga.i
is ḳharabe men agar aaya gaya koi nahin
paikar-e-gul asmanon ke liye betab hai
ḳhaak kahti hai ki mujh sa dusra koi nahin
umr bhar ki talḳhiyan de kar vo ruḳhsat ho gaya
aaj ke din ke siva roz-e-jaza koi nahin

Leave a Reply