do din ki hansi do din ki ḳhushi anjam-e-amal rona hi paḌa
ik umr ganva.i jis ke liye ik roz use khona hi paḌa
ham aur ala.eq se chhuTen mumkin nahin jab tak ham ham hain
dariya ko ba-in azad-ravi zanjir-ba-pa hona hi paḌa
bazar men aa kar nadan dil manzar ke khilaunon par machla
aur pir-e-ḳhird ko kandhe par ambar-e-nazar Dhona hi paḌa
kya janiye aḳhir kyon itni azurda rahi honTon se hansi
qismat pe bhi hansna jab chaha aa.i na hansi rona hi paḌa
ham tuḳhm-e-mohabbat jannat se siine men chura kar le aa.e
is ret men kya ugta vo bhala haan laa.e the bona hi paḌa
bedar-dili ke mansube ham kya kya bandh ke aa.e the
duniya ne thapak kar lori di niind aa hi ga.i sona hi paḌa
Leave a Reply