Teri Chashm-E-Tarab Ko Dekhna paDta Hai Pur-Nam Bhi

tirī chashm-e-tarab ko dekhnā paḌtā hai pur-nam bhī

mohabbat ḳhanda-e-be-bāk bhī hai girya-e-ġham bhī

thakan tere badan kī uzr koī DhūñDh hī letī

hadīs-e-mahfil-e-shab kah rahī hai zulf barham bhī

ba-qadr-e-dil yahāñ se shola-e-jāñ-sāz miltā hai

charāġh-e-husn kī lau shoḳh bhī hai aur maddham bhī

mirī tanhā.iyoñ kī dil-kashī terī balā jaane

merī tanhā.iyoñ se pyaar kartā hai tirā ġham bhī

bahāroñ ke ġhazal-ḳhvāñ aaj ye mahsūs karte haiñ

pas-e-dīvār-e-gul rotī rahī hai chashm-e-shabnam bhī

qarīb aate magar kuchh fāsla bhī darmiyāñ rahtā

kamī ye rah ga.ī hai bāvajūd-e-rabt-e-bāham bhī

‘zahīr’ un ko hamāre dil kī har shoḳhī gavārā thī

unheñ karnā paḌegā ab hamāre dil kā mātam bhī

Leave a Comment