jis ko dekha so yahan dushman-e-jan hai apna
dil ko jaane the ham apna so kahan hai apna
qissa-e-majnun-o-farhad bhi ik parda hai
jo fasana hai yahan sharh-o-bayan hai apna
vasf kahne men tire husn ke sharminda huun
us ke qabil na zaban hai na dahan hai apna
jis ko jaana ho bhala us ko bura kya kahiye
go ki bad-vaz.a hai par ab to miyan hai apna
Leave a Reply