jis ka koi na ho ḳhuda hoga
jis ka vo bhi na ho to kya hoga
hasil-e-marg aur kya hoga
ik na.e gham ka silsila hoga
aap munh pher ke hue ruḳhsat
ye na socha ki mera kya hoga
jis ne di hai tumhen dua.a-e-ishq
koi mujh sa hi dil-jala hoga
laakh sochun na kah sakunga kuchh
jab kabhi un ka samna hoga
main ne kya kya kaha hai qasid se
jaane qasid ne kya kaha hoga
Leave a Reply