• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jis dam Ye Suna Hai Subh-E-Watan Mahbus Faza-E-Zindan Mein

Jis dam Ye Suna Hai Subh-E-Watan Mahbus Faza-E-Zindan Mein

majrooh-sultanpuri

jis dam ye suna hai subh-e-vatan mahbus faza-e-zindan men

jaise ki saba ai ham-qafso betab ham aae zindan men

ho tegh-e-asar zanjir-e-qadam phir bhi hain naqib-e-manzil ham

zakhmon se charagh-e-rahguzar baithe hain jalae zindan men

sad-chak qaba-e-amn-o-sukun uryan hai ahinsai ka junun

kuchh khuun se shahidon ne apne vo gul hain khilae zindan men

ye jabr-e-siyasat ye insan mazlum aahen majbur fughan

zakhmon ki mahak daghon ka dhuan mat puchh faza-e-zindan men

ghairon ki khalish apnon ki lagan soz-e-gham-e-janan dard-e-vatan

kya kahiye ki ham hain kis kis ko siine se lagae zindan men

gul banti hai shayad khak-e-vatan shayad ki safar karti hai khizan

khushbu-e-baharan milti hai kuchh din se hava-e-zindan men

mujrim the jo ham so qaid hue sayyad magar ab ye to bata

har vaqt ye kis ko dhundte hain divar ke saae zindan men

jismon pe ye kis ka nam-e-siyah likh dete hain kodon ke nishan

hain taak men kis ki zanjiren ab aankh lagae zindan men

raftar-e-zamana lai jin ki gaati hai gul-e-naghma jin ka

ham gaate hain un avazon se avaz milae zindan men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Us Shahar Mein Rahne Ko Thikana Bhi Nahin Tha

Sufi

Tujh Baali Je Hun Paun

Meri Aankhon Se Nahin Lagta Ki Main Kis Ja Se Hun

Ek Surat Nazar Aai Thi Abhi

Agar Aadmi Waqt Ka Raaz Pa Le

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet