• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jine Mein Thi Na Naza Ke Ranj O Mehan Mein Thi

Jine Mein Thi Na Naza Ke Ranj O Mehan Mein Thi

jiine men thi na naza.a ke ranj o mehan men thi

ashiq ki ek baat jo divana-pan men thi

saada varaq tha bahama gul-ha-e-rang-rang

tafsir jaan paak bayaz-e-kafan men thi

baḌhta tha aur zauq-e-talab bekasi ke saath

kuchh dilkashi ajiib navah-e-vatan men thi

bimar jab hain karte hain fariyad charagar

kya dastan-e-dard sukut-e-mahan men thi

kahta tha chashm-e-shauq se vo aftab-e-husn

halki si ik shua thi jo anjuman men thi

kuchh iztirab-e-ishq ka aalam na puchhiye

bijli taḌap rahi thi ki jaan is badan men thi

kis se kahun ki thi vahi gul-ha-e-rang-rang

bikhri hui jo ḳhaak savad-e-chaman men thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-E-Rah-Rawi Rahi

fatima-hasan

Kya Kahun Us Se Ki Jo Baat Samajhta Hi Nahin

hasrat-mohani

Apna Sa Shauq Auron Mein Laen Kahan Se Hum

akhtar-hoshiyarpuri

Meri Nigah Ka Paigham Be-Sada Jo Hua

poet

Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se dil Ki Lagan Mein Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet