
Sikandar Ali Wajd
jin ki ankhon men tha surur-e-ghazal
un ghazalon ki yaad aati hai
sadgi la-javab thi jin ki
un savalon ki yaad aati hai
jaane vaale kabhi nahin aate
jaane valon ki yaad aati hai
‘vajd’ lutf-e-suḳhan mubarak ho
ba-kamalon ki yaad aati hai

Leave a Reply