• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jin Ke Raston Se Sada Maine Hatae Patthar

Jin Ke Raston Se Sada Maine Hatae Patthar

afroz-rizvi

jin ke raston se sada main ne hatae patthar

vo mire sar ke liye dhund ke laae patthar

main ne dekha ki mire shisha-e-jan par ik din

tere kuche men har ik samt se aae patthar

main jise dekh ke hathon men duaen pahnun

vo mujhe dekh ke hathon men uthae patthar

jo mujhe tere taalluq se mile main ne vahi

kabhi chume kabhi ankhon se lagae patthar

main use zakhm-e-mohabbat pe saja kar rakkhun

dasht-e-ulfat se jo mere liye aae patthar

teri ankhon ke taghaful se tire pahlu men

jab mire khvab nahae to nahae patthar

us ki khushbu ki talab men jo main ghar se nikli

us ne phulon ki tarah mujh pe lutae patthar

vo hain phulon ki tarah meri nazar men ‘afroz’

jitne bhi mere lahu men hain nahae patthar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sahar Ke Baad Bhi Jo Log Jagne Se Rahe

Dil Ki Kashti Tere Hawale

qateel-shifai

Actress

Teri Sanson Ka Zer-O-Bam Jaanam

Ghazab Ki kaT Thi Ab Ke Hawa Ke Tanon Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet