jin ke paanv bhi nahin hain un ko sar kahte hain log
kya zamana hai ki paudon ko shajar kahte hain log
ek aansu bhi na Tapka aaj tak jis aankh se
kya qayamat hai usi ko chashm-e-tar kahte hain log
ab zamane ki kasauTi ka yahi me.aar hai
siip se nikla nahin phir bhi guhar kahte hain log
maslahat ki beḌiyon men jab se jakḌi hai zaban
ham nazar valon ko aksar kam nazar kahte hain log
is liye har aankh se ab niind ruḳhsat ho ga.i
din ki nakami ka qissa raat bhar kahte hain log
kya zamana aa gaya hai pur-sukun lahje men ab
chaar din ki chandni ko ham-safar kahte hain log
jis ki surat dekh kar kuchh log pagal ho ga.e
kuchh na kuchh ham par bhi us ka hai asar kahte hain log
farq kya paḌta hai is se ‘tashna’ teri zaat par
kahne de jal kar tujhe kuchh bhi agar kahte hain log
Leave a Reply