ji rahe hain afiyat men to hunar ḳhvabon ka hai
ab bhi lagta hai ki ye saara safar ḳhvabon ka hai
ji laga rakkha hai yuun ta.abir ke auham se
zindagi kya hai miyan bas ek ghar ḳhvabon ka hai
raat chalti rahti hai aur jalta rahta hai charagh
ek bujhta hai to phir naqsh-e-digar ḳhvabon ka hai
rang bazar-e-ḳhirad ka aur ye mera junun
ik sitara gumbad-e-aflak par ḳhvabon ka hai
raat ka dariya aur us men ek tufan-e-muhib
jagna hai der tak ye bhi asar ḳhvabon ka hai
varna kaT jaate hain roz o shab zamane ki tarah
jo bhi thoḌa ya bahut samjho to dar ḳhvabon ka hai
Leave a Reply