jī rahā huuñ Thiik bhī huuñ aap kī hī maiñ balā se
dard mujh ko mil rahe haiñ aap kī hī bas duā se
haal merā jo huā hai hai mohabbat kā natīja
Thiik to honā nahīñ hai ab ye kaisī bhī davā se
tū kahānī aur koī likh de nā hisse meñ mere
jī mirā uktā gayā hai yā ḳhudā ab is kathā se
gar milānā hī nahīñ thā to milāyā kyoñ hameñ phir
maiñ ne to is baat pe kar lenā hai jhagḌā ḳhudā se
zulf ko us kī nā chheḌo mat karo us ko pareshāñ
iltijā ye roz hī kartā huuñ maiñ zālim havā se