ji raha huun pa kya yunhi jiita rahun
main na teri taḌap huun na apna sukun
ab to sarma ki shab ban ke ThiThure hai ḳhuun
aur kab tak tumhari tamanna karun
tum ko chaha ki thi nargisiyat fuzun
apna ḳhvahan tumhari visatat se huun
aise ruThe the lekin mile hain to yuun
chahta huun ki un se na kuchh bhi kahun
hijr jaan ka ziyan vasl marg-e-junun
jiite rahne ka imkan yuun hai na yuun
thaah is dil ki dekhen pa dekhen to kyuun
dekha ja.ega kya apne ḳhvabon ka ḳhuun
fikr-e-sud-o-ziyan ḳhak-aluda huun
main ki tha ta.ir-e-vus.at-e-nil-gun
Leave a Reply