dayar-e-ishq men apna maqam paida kar
naya zamana nae subh o shaam paida kar
khuda agar dil-e-fitrat-shanas de tujh ko
sukut-e-lala-o-gul se kalam paida kar
utha na shishagaran-e-farang ke ehsan
sifal-e-hind se miina o jaam paida kar
main shakh-e-tak huun meri ghazal hai mera samar
mire samar se mai-e-lala-fam paida kar
mira tariq amiri nahin faqiri hai
khudi na bech gharibi men naam paida kar
Leave a Reply