javani magar is qadar mastiyan
shab-o-roz sham-o-sahar mastiyan
na dil men zara bhi nadamat hui
machate rahe raat bhar mastiyan
havaon men lau thartharati rahi
udhar thi haya aur idhar mastiyan
havas-kariyon ko masarrat na kah
mohabbat men itni na kar mastiyan
javani ganvate hain jo zohd men
buḌhape men karte hain ḳhar mastiyan
kabhi ḳhalvaton men takalluf baham
kabhi hain sar-e-rahguzar mastiyan
baḌi mushkilon se shab-e-ehtiyat
jo guzri to pichhle pahar mastiyan
vahin dosti hai jahan ishq hai
jidhar ḳhvariyan hain udhar mastiyan
adaon ko ulfat samajhta hai tu
nahin ai mire be-ḳhabar mastiyan
savabon se un ka sahi fasla
gunahon se hain dur-tar mastiyan
yahan hikmaten bhi utarti rahin
uchhalti rahi hain agar mastiyan
piyape tire naam par gardishen
dama-dam tire naam par mastiyan
koi kaam ‘sayyad’ ne chhoḌa nahin
kamalat sair-o-safar mastiyan
Leave a Reply