jashn-e-girya ke alava bhi tamasha ho to
ab alava ke alava bhi tamasha ho to
kaash ab ke na kisi shai ki talab ham ko rahe
ab tamanna ke alava bhi tamasha ho to
mohlat-e-mahfil-e-ḳhush-rang pas-e-zindan ho
habs-e-beja ke alava bhi tamasha ho to
ab to ye raunaq-e-yak-manzari khulti hai bahut
ab kahin ja ke alava bhi tamasha ho to
ya.ani ab kaun-o-makan se ho udhar bhi ‘nami’
ya.ani duniya ke alava bhi tamasha ho to
Leave a Reply