Jannat Nahin to Ku-E-Butan Kuchh Na Kuchh to Ho

jannat nahīñ to kū-e-butāñ kuchh na kuchh to ho

taskīn-e-dil ko apnī yahāñ kuchh na kuchh to ho

āñkhoñ meñ ashk lab pe fuġhāñ kuchh na kuchh to ho

raaz us pe dard-e-dil kā ayaañ kuchh na kuchh to ho

o be-niyāz ek uchaTtī huī nazar

dil ko bhī zindagī kā gumāñ kuchh na kuchh to ho

chashm-e-karam nahīñ na sahī zahr hī sahī

lekin ilāj-e-dard-e-nihāñ kuchh na kuchh to ho

ehsās-e-zindagī ke liye is jahān meñ

fikr-e-jahāñ ki ishq-e-butāñ kuchh na kuchh to ho

kuchh dil kī dhaḌkanoñ kā mudāvā bhī chāhiye

dast-e-subuk ki sañg-e-girāñ kuchh na kuchh to ho

ai ‘shauq’ be-sabab to ġhazal-ḳhvāniyāñ nahīñ

tum bhī qatīl-e-chashm-e-butāñ kuchh na kuchh to ho

Leave a Comment