jami huun barf ki surat pighalna chahti huun main
hisar-e-zat se bahar nikalna chahti huun main
diya ban kar nihan-ḳhanon men jalna chahti huun main
kisi ki ruuh ke sanche men Dhalna chahti huun main
juda hoti hi aa.i hai hamesha ‘hir’ ranjhe se
ab is rasm-e-mohabbat ko badalna chahti huun main
main jis miTTi se aa.i huun usi miTTi men milne tak
hazaron baar gir kar bhi sambhalna chahti huun main
ḳhizan ke Dar se ghabra kar palaTna chahta hai vo
har ik mausam men jis ke saath chalna chahti huun main
miTa Daala hai yak-jehti ko is firqa-parasti ne
kisi surat bhi ye surat badalna chahti huun main
main chahti huun ki ban ja.un kisi ki aarzu ‘mina’
kisi ka ḳhvab ban kar dil men palna chahti huun main
Leave a Reply