• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jam-E-Tahi Qubul Na Tha Gham Samo Liye

Jam-E-Tahi Qubul Na Tha Gham Samo Liye

jam-e-tahi qubul na tha gham samo liye

phulon ke intizar men kanTe chubho liye

mahrumi-e-davam bhi kya lutf de ga.i

ye soch kar hanse hain ki ik umr ro liye

ham hain vo sada-lauh ki pa kar raza-e-dost

ḳhud apne haath apne hi ḳhuun men Dubo liye

jis samt se bhi bang-e-jaras aa.i dasht men

divangan-e-shauq usi samt ho liye

pichhla pahar hai shab ka ki hai shaam ka saman

vo kya bata sakenge jo ik niind so liye

kya jabr hai subut-e-vafa pesh kijiye

aur un ka naam aa.e to phir lab na kholiye

‘mohsin’ zaban dijiye bazm-e-ḳhamosh ko

mohmal hai aaj lafz-e-suḳhan kuchh to boliye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

saleem-kausar

Ek Ghadi Wasl Ki Be-Wasl Hui Hai Mujh Mein

Der Mein so Kar uThne Wale

Meri taKHliq Hui Jis Ki Tag-O-Taz Ke Sath

Sufi

Mere Shauq-e-Justuju Ka Kise Etibar Hota

Bahana Kar Liya Phir Se Haya Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet